Thursday, February 12, 2009

Lamba hai raasta, koi aant nahi iska;
Mushafir hu zindagi ka, chale ja raha hu

Dhup hai, chaaw hai, to kahi barish ke mooti bhi hai;
Nafaraat aur mohabbat ke beech doole ja raha hu

Kuch dafaan hai neeche iske, kuch zinda hai iske upar;
En sabke beech apna mukaam dhunde ja raha hu

Khookhale peedh hai jaise intzaar mein kisi ke;
Ghar ko main bhi apne khuje ja raha hu

Paatiya surkh huye dhup se hai ya murjha gayi hai;
Dekhane khada intzaar mein jaale ja raha hu

Mil paunga kya kabhi main apne aap se "jatraza"
Puchata khuda se yahi main subah-shaam hu

1 comment: